RAKSHA BANDHAN KYON MANAYA JATA HAI
Shishupal ka vadh karte samay bhagvan shri Krishna ki Ungali mein chot aa gai thi, to Dropadi ne lahoo rokne ke liye apni saari fadkar unki ungali par baandh di thi. Us din Shrawan maas ki poornima ka din tha. Bhagvan shri Krishna ne cheer haran ke samay Dropadi ki laaj bachakar yah karj chukaya tha. usi din se rakhi bandhne ka kram shuru hua tha.
Raksha bandhan ke tyohar ko bhai bahin ke pyaar ki parampara ki tarah manaya jata hai. Raksha bandhn ek anokha hindu tyohar hai jise kebal bharat desh mein hi nahin aur bhi kai deshon mein manaya jata hai. Raksha bandhan par bahinen apne bhai ki kalaee par rakhi bandhkar raksha ka vachan leti hain aur bhai bhi bahin ko raksha karne ka vachan deta hai,
